Ganga Dussehra

Shruti Pandey
1 min readJun 16, 2024

--

Aaj Ganga dussehra hai

Aaj ke din,Raja Bhagirath ne Bhagirathi Ganga ko prithvi pe, apne Pitron ke Moksh ke liye laaya tha

Bhagirath kaun? the ek raja.. kabhi kahin kisi history mein,
par humein usse kya ? (#kataaksha / sarcasm)

Pitru: Ancestors, humare puravaj

Har insaan jab janam leta hai to usse 3 loans se mukt hona padta hai:
Pitru ऋृण
Dev ऋृण
Rishi ऋृण

Aaj se bahut generations pehle, “Manushya Suyogya Santan ki iccha rakhta tha, kyunki wo Santan, unke marne ke baad, Pitru ko Tarpan de”

Inmein se bahut si baat ya to aapko pata nahi, ya aapko batane wala koi nahi,
ya unhe bhi isliye nahi pata kyunki aapke system, tradition, education se ye saari baatein nikal di gayin hain

Jab NRIs, for example: US mein apne bachon ko Halloween pe Trick or Trick karne bhejte hain
wo kya hai, Halloween kya hai?

Har religion apne ancestors ko yaad karta hai, unhe dhnyawaad deta hai

Agar aap ye bhul gaye hain, to abhi bhi zyada der nahi hui
Bus Ek Bhagirath chahiye !!!!

Kyunki mere vichar mein,

jise ye nahi pata ki wo kahan se aaya hai, usse ye bhi nahi pata ki wo kahan jaa raha hai

--

--

Shruti Pandey
Shruti Pandey

No responses yet